Sana Surah In Hindi – नमाज की सना सूरह हिंदी में पढ़ें।
Aaj ke is khoobsurat paighaam mein aap bahut hi umda aur zaroori wa barkat bhari Surah yaani Sana Surah jaanenge. Humne yahan par Sana Surah bahut hi aasan aur saadhaaran lafz ke saath saath Hindi, Arabi aur English mein bhi likha hai.
Jisse aap aasanai se Sana padh kar apne paak zehan mein bhi basa lenge. Iska jabani yaad hona bahut hi zaroori hai, beshak yeh hamesha namaz mein padha jata hai. Isliye aap yahan par dhyan se padh kar yaad bhi kar lein.
Sana Surah In Hindi
सुब्हान क अल्लाहुम्मा व बि हम्दि क व तबार कस्मुका व तआला जद्दू क व ला इल्लाहा गैरूका
Sana Surah In Arabic
سُبْحٰنَاكَ اَللّٰهُمَّ وَ بِحَمْدِكَ وَ تَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰى جَدُّكَ وَلَاْاِلٰهَ غَيْرُكَ
Sana Surah In English
Subhaan Ka Alaahumma Wa Bi Hamdee Ka Wa Tabaar Kasmukaa Wa T'Aala Jaddu Ka Wa Laa ilaaha Gairuka
इसे भी पढ़ें:- नमाज़ में पढ़ी जाने वाली सूरह
Sana Surah Ka Tarjuma
ऐ अल्लाह तू पाक है और मैं तेरी हम्द करता हूं तेरा नाम बरकत वाला है और तेरी अजमत बलन्द है और तेरे सिवा कोई माबूद नहीं।

Sana Surah In Hindi Image
Agar aap bhi Sana Surah ka Hindi image ki talash mein hain to yahan par aap ki talash mukammal hone wali hai. Humne yahan par Sana Surah Hindi ka image bhi pesh kiya hai.
Jise aap bade hi aasanai se apne phone ki gallery mein save yaani download karke rakh sakte hain. Iska faayda yeh hoga ki aap kisi bhi waqt bagair internet ke bhi apne phone mein dekh kar padh padh kar yaad kar lenge aur namaz mein ab se hamesha sahi se padhenge.
Sana Padhne Se Judi Zaroori Baaten
- Sana ke lafz hamesha sirf apne aap mein hi sunne tak padhein.
- Agar der se jamaat mein shamil hue ho to in baaton pe dhyan dein:
- Agar jamaat mein Imam ne Qirat shuru kar di ho to Sana na padhein.
- Agar kisi karan vash Qirat na sunai de to padh sakte hain.
- Agar lage ki Imam ne Ruku ya Sajda kar liya ho to Sana na padhein.
- Jab aap akelay khade ho to wahan pe Sana padh kar shuru karein.
- Yaani jab Imam namaz mukammal kar le to aap Sajda-e-Sahw ke liye khade ho to Sana padhein.
Namaz Mein Sana Padhne Ka Tarika
Namaz ada karne ke liye jab niyat karke haath baandh liya jaye to sabse pehle Sana padhna hai. Iske baad hi Ta’awwuz yaani “A’uzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem” aur “Bismillah Hirrahman Nirrahim” padhein.
Agar aap Imam ke peeche bhi namaz ada kar rahe hain to bhi aapko Sana padhna hi hai, aur akelay mein to padhenge hi. Imam ke peeche niyat baandhne ke baad Sana padh ke kuch nahi padha jata hai, lekin Sana ke alfaaz aapko padhna hi hai.
Ek baat hamesha yaad rakhein ki Sana sirf namaz ke shuru mein hi padha jata hai, yaani ki sirf niyat karne par pehli rakat mein. Iske baad kabhi bhi Sana padhne ki zaroorat nahi, chahe aap 3 ya 4 rakat ki namaz ada kar rahe ho.
Lekin is baat ka bhi khayal rakhein ki kuch khaas qisam ki namazon mein Sana do baar bhi padha jata hai, jaise ki Shab-e-Qadr ki 4 rakat wali nafl namaz ke teesri rakat mein bhi Sana padhne ka hukm hai. Iske alawa koi khaas din ya waqt ki namaz ada karni ho to pehle uska jaiza lein.
Agar aapko kisi bhi namaz ke tareeke se mutalliq koi sawaal ho to comment karke ya “Contact Us” page ke zariye humse rabta kar sakte hain. Ya phir apne najdiki Paiband-e-Sunnat Hafiz Aalim se rabta karke khaas namaz ko durust tareeke se ada karein, taake aap apna mukammal sawaab apne Nama-e-A’maal mein likhwa saken.
Namaz Mein Sabse Pehle Kya Padha Jata Hai?
Sabse pehle aapko batate chalein ki namaz mein sabse pehle ‘Sana’ hi padha jata hai. Jab hum namaz ke liye khade hote hain to sabse pehle namaz ki niyat karke haath baandhte hain.
Jaise ki agar hume Fajr ki namaz mein Fajr ki 2 rakat sunnat namaz ada karni ho, to sabse pehle hum Fajr ki sunnat ki 2 rakat ki niyat karke apne haathon ko kaanon se chhukar niyat baandh lenge.
Iske baad Sana, yaani jo humne aapko upar bataya, use padhenge.
इसके बाद तअव्वुज यानी अउजुबिल्लाह मिनश शैतानीर्रजीम पढ़ेंगे फिर इसके तस्मियह यानी बिस्मिल्लाह हिर्रहमान निर्रहिम पढ़ेंगे अब आगे सूरह फातिहा पुरा पढेंगे इसके बाद कोई भी कुरान पाक की छोटी बड़ी सूरह पढ़कर रूकू व सुजूद किया जाता है।
FAQ – Sana Se Jude Sawal Jawab
📌 Sanaa kab padha jata hai?
➡️ Sana niyat baandhne ke baad turant padha jata hai.
📌 Sana kaise padha jata hai?
➡️ Hamesha niyat karne ke baad is tarah “Subhanaka Allahumma wa bihamdika wa tabarakasmuka wa ta’ala jadduka wa la ilaha ghairuka” se Sana padha jata hai.
📌 Sana mein kya padha jata hai?
➡️ Sana ke alfaaz yeh hain:
“Subhanaka Allahumma wa bihamdika wa tabarakasmuka wa ta’ala jadduka wa la ilaha ghairuka”
📌 Agar Sana padhna bhool jaye to kya karein?
➡️ Agar aap Sana padhna bhool jayein to koi baat nahi, aage ki namaz jaari rakhein. Agli rakat mein bhi padh sakte hain, lekin qasdan ya aadat na banne dein.
📢 Aakhiri Baat
Aapne is paigham mein Sana Surah bahut hi aasaan lafzon mein padha. Yaqeenan aap isey apne zehan mein basa chuke honge. Agar abhi tak yaad nahi hui ho to bina kisi pareshaani ke 1-2 baar dhyan se padhein, jisse aapko aasani se yaad ho jayegi.
Humne yahan par Sana batane ke saath-saath Sana padhne ka tarika aur is se talluq sabhi baaton ko bhi bataya hai. Agar abhi bhi aapke mann mein koi sawal ya koi doubt ho to aap humse bejhijhak pooch sakte hain, jisse aapke waswase door ho jayein aur aap bhi aasani se samajh jayein.
Agar aapko ye paigham accha laga ho, yaani is paigham se jo bhi aapko hasil hua ho, to aap ise zyada logon tak sawaab ki niyat se bata sakte hain, taake wo bhi sahi tareeke se Sana padh kar namaz ada karein aur neki aapko aur humein bhi milti rahe.
Saath hi nek duaaon mein humein bhi yaad rakhein! 🤲